Ghurur-e-koh Ke Hote Niyaz-e-kah Rakhte Hain
ghurur-e-koh ke hote niyaz-e-kah rakhte hain
tere ham-rah rahne ko qadam kotah rakhte hain
andheron mein bhi gum hoti nahin samt-e-safar apni
nigahon mein firozan ek shabih-e-mah rakhte hain
ye duniya kya hamein apni Dagar par le ke jaegi
hum apne sath bhi marzi ki rasm-o-rah rakhte hain
wo diwar-e-ana ki oT kis kis aag jalta hai
dil o dida ko sab ahwal se aagah rakhte hain
Dar-o-bast-e-jahan mein dekhte hain saqm kuchh 'ali'
aur apni soch ka ek naqsha-e-islah rakhte hain
(768) Peoples Rate This