Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_293e30f6d534fe46379af23849da2110, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Aawara Sa Lamha Kya Qafas Mein Aa Gaya Hai - Jaleel 'Aali' Poetry In English - Darsaal

Ek Aawara Sa Lamha Kya Qafas Mein Aa Gaya Hai

ek aawara sa lamha kya qafas mein aa gaya hai

laga jaise zamana dastaras mein aa gaya hai

ye kis konpal khuli saat sada di hai kisi ne

ruton ka ras har ek tar nafas mein aa gaya hai

hum us kuche se nisbat ki KHushi kaise sambhaalen

hamara nam us ke KHar-o-KHas mein aa gaya hai

lahu mein lau kahan maujud zinda rabte ki

nibhane ko faqat be-ruh rasmen aa gaya hai

ana ke faisle kya marzi-e-pindar kaisi

mera hona na hona us ke bas mein aa gaya hai

utar aae un aankhon mein kuchh aise aks 'ali'

ki dil phir se giraft-e-pesh-o-pas mein aa gaya hai

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Aawara Sa Lamha Kya Qafas Mein Aa Gaya Hai In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Ek Aawara Sa Lamha Kya Qafas Mein Aa Gaya Hai is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Ek Aawara Sa Lamha Kya Qafas Mein Aa Gaya Hai for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Ek Aawara Sa Lamha Kya Qafas Mein Aa Gaya Hai in PDF.