Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7vqoq47p5dvjcdsi8hkbmsn6t1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Barg Bhar Bar Mohabbat Ka UThaya Kab Tha - Jaleel 'Aali' Poetry In English - Darsaal

Barg Bhar Bar Mohabbat Ka UThaya Kab Tha

barg bhar bar mohabbat ka uThaya kab tha

tum ne sine mein koi dard basaya kab tha

ab jo KHud se bhi juda ho ke phiro ho ban mein

tum ne basti mein koi dost banaya kab tha

naqd-e-ehsas ki insan ka bharam hota hai

hum ne khoya hai kahan aap ne paya kab tha

shahr ka shahr umaD aaya hai dil-jui ko

dushmanon ne bhi teri tarah sataya kab tha

sai-e-sahra-e-wafa sair-e-gulistan kab thi

dhup hi dhup thi har-su koi saya kab tha

aks kya kya the nigahon mein firozan 'ali'

par ye andaz-e-nazar waqt ko bhaya kab tha

(704) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barg Bhar Bar Mohabbat Ka UThaya Kab Tha In English By Famous Poet Jaleel 'Aali'. Barg Bhar Bar Mohabbat Ka UThaya Kab Tha is written by Jaleel 'Aali'. Read famous Poem Barg Bhar Bar Mohabbat Ka UThaya Kab Tha for youth and Student by Jaleel 'Aali'. Free Download Barg Bhar Bar Mohabbat Ka UThaya Kab Tha in PDF.