Apne Hone Se Bhi Inkar Kiye Jate Hain
apne hone se bhi inkar kiye jate hain
hum ki rasta tera hamwar kiye jate hain
roz ab shahr mein sajte hain tijarat mele
log sehnon ko bhi bazar kiye jate hain
Dalte hain wo jo kashkol mein sansen gin kar
kal ke sapne bhi giraftar kiye jate hain
kis ko malum yahan asal kahani hum to
darmiyan ka koi kirdar kiye jate hain
dil pe kuchh aur guzarti hai magar kya kije
lafz kuchh aur hi izhaar kiye jate hain
mere dushman ko zarurat nahin kuchh karne ki
us se achchha to mere yar kiye jate hain
(727) Peoples Rate This