Apne Hone Ki Ihanat Nahin Hum Kar Sakte
apne hone ki ihanat nahin hum kar sakte
so teri yaad se ghaflat nahin hum kar sakte
dil mein late nahin dushman se bhi nafrat ka KHayal
is se kam koi ibaadat nahin hum kar sakte
dur rahte hain takabbur ki hawa se lekin
ijz ko ghafil-e-ghairat nahin hum kar sakte
maslahat sahar bahut phunkti phirti hai bhare
kam qad-o-qamat-e-wahshat nahin hum kar sakte
Dher tafrih-e-tan-o-jaan ke laga do jitne
tark ek dard ki daulat nahin hum kar sakte
chhoD sakte hain ye sab sehn-o-dar-o-baam-e-jahan
qariya-e-KHwab se hijrat nahin hum kar sakte
tum zamin par jo KHuda bante chale jate ho
kya samajhte ho baghawat nahin hum kar sakte
jis rawish bhi ho rawan ghol-e-zamana 'ali'
aap se koi riayat nahin hum kar sakte
(781) Peoples Rate This