Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2f961cd14a8f5696b284435a3ba62194, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nafs Se Jo LaDa Nahin Karte - Jalee Amrohvi Poetry In English - Darsaal

Nafs Se Jo LaDa Nahin Karte

nafs se jo laDa nahin karte

ruh par wo jila nahin karte

kyun na ho phir fasad duniya mein

log KHauf-e-KHuda nahin karte

ahl-e-dil ahl-e-zarf ahl-e-nazar

baat dil ki kaha nahin karte

un ka jina abas hai duniya mein

jo kisi ka bhala nahin karte

bazm-e-ishrat mein aashiqan-e-tarab

nala-e-dil suna nahin karte

dosti kya karun main phulon se

ye hamesha khila nahin karte

dars lo TuTte hababon se

sar uTha kar chala nahin karte

ai 'jali' dahr ke satae hue

zindagi ki dua nahin karte

(602) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nafs Se Jo LaDa Nahin Karte In English By Famous Poet Jalee Amrohvi. Nafs Se Jo LaDa Nahin Karte is written by Jalee Amrohvi. Read famous Poem Nafs Se Jo LaDa Nahin Karte for youth and Student by Jalee Amrohvi. Free Download Nafs Se Jo LaDa Nahin Karte in PDF.