Tasawwur Humne Jab Tera Kiya Pesh-e-nazar Paya
tasawwur hum ne jab tera kiya pesh-e-nazar paya
tujhe dekha jidhar dekha tujhe paya jidhar paya
kahan hum ne na is dard-e-nihani ka asar paya
yahan uTTha wahan chamka idhar aaya udhar paya
pata us ne diya tera mila jo ishq mein KHud gum
KHabar teri usi se pai jis ko be-KHabar paya
dil-e-betab ke pahlu se jate hi gaya sab kuchh
na pain sine mein aahen na aahon mein asar paya
wo chashm-e-muntazir thi jis ko dekha aa ke wa tum ne
wo nala tha hamara jis ko sote raat bhar paya
main hun wo na-tawan pinhan raha KHud aankh se apni
hamesha aap ko gum surat-e-tar-e-nazar paya
habib apna agar dekha to dagh-e-ishq ko dekha
tabib apna agar paya to ek dard-e-jigar paya
kya gum hum ne dil ko justuju mein dagh-e-hasrat ki
kisi ko pa ke kho baiThe kisi ko DhunDh kar paya
bahut se ashk-e-rangin ai 'jalal' is aankh se Tapke
magar be-rang hi dekha na kuchh rang-e-asar paya
(779) Peoples Rate This