Subh Ho Sham Judai Ki Ye Mumkin Hi Nahin
subh ho sham judai ki ye mumkin hi nahin
hijr ki raat wo hai jis ke liye din hi nahin
subh karna shab-e-gham ka kabhi mumkin hi nahin
aa ke din pher de apne wo koi din hi nahin
dil-e-be-tab mohabbat ko ho kis tarah sukun
donon harfon mein jab us ke koi sakin hi nahin
kya mazammat hai mujhe subh-e-shab-e-hijr un se
jin se kahta tha ki bachna mera mumkin hi nahin
shab-e-furqat use maut aa gai mere badle
de azan subh ki kaun aaj moazzin hi nahin
bistar-e-gham se uTha kar ye biThata hai hamein
koi juz dard-e-jigar aur muawin hi nahin
rah chalte bhi ye puchhen ki kidhar aa nikle
jaise hum kucha-e-mahbub ke sakin hi nahin
yaad-e-gesu ne dikhaya hai wo aalam hum ko
raat rahti hai jahan aaTh pahar din hi nahin
banda-e-ishq hain iman ki kahte hain 'jalal'
hum ko kafir jo samajhta hai wo momin hi nahin
(772) Peoples Rate This