Sad-shukr Bujh Gai Teri Talwar Ki Hawas
sad-shukr bujh gai teri talwar ki hawas
qatil yahi thi tere gunahgar ki hawas
murde ko bhi mazar mein lene na degi chain
ta-hashr tere saya-e-diwar ki hawas
sau bar aae ghash arini hi kahunga main
musa nahin ki phir ho na didar ki hawas
rizwan kahan ye KHuld o iram aur main kahan
aae the le ke kucha-e-dildar ki hawas
sayyaad jab qafas se nikala tha bahr-e-zabh
puchhi to hoti murgh-e-giraftar ki hawas
yusuf ko teri chah ke saude ki aarzu
isa ko tere ishq ke aazar ki hawas
dast-e-hawa-e-gul mein gareban hai mera
daman junun mein khinchti hai KHar ki hawas
jab ho kisi ka rishta-e-ulfat gale ka tauq
diwana-pan hai subha-o-zunnar ki hawas
mane hai zabt charKH phunke kyunkar ai 'jalal'
kis tarah nikle aah-e-sharar-bar ki hawas
(764) Peoples Rate This