Jafa Ki Us Se Shikayat Zara Nahin Aati
jafa ki us se shikayat zara nahin aati
wo yaad hi hamein shukr-e-KHuda nahin aati
nikal ke ta-ba-lab aah-e-rasa nahin aati
karahta hai jo ab dil sada nahin aati
hamari KHak ki miTTi hai kya KHarab ai charKH
kabhi idhar ko udhar ki hawa nahin aati
shab-e-visal kahan KHwab-e-naz ka mauqa
tumhaari nind ko aate haya nahin aati
adu hamari ayaadat ko le ke aae unhen
kahan ye mar rahi ab bhi qaza nahin aati
lahad pe aae the do phul bhi chaDha jate
abhi tak aap mein bu-e-wafa nahin aati
meri lahad ko wo un ka ye kah kar Thukrana
sada-e-nara-e-sad-marhaba nahin aati
sitam hai aur mere dil-shikan ka ye kahna
shikast-e-shisha-e-dil ki sada nahin aati
'jalal' hum ye na manenge tu use nahin yaad
tujhe kabhi koi hichki bhi kya nahin aati
(747) Peoples Rate This