Jaane Wala Iztirab-e-dil Nahin
jaane wala iztirab-e-dil nahin
ye taDap taskin ke qabil nahin
jaan de dena to kuchh mushkil nahin
jaan ka KHwahan magar ai dil nahin
tujh se KHush-chashm aur bhi dekhe magar
ye nigah ye putliyan ye til nahin
rahte hain be-KHud jo tere ishq mein
wo bahut hoshyar hain ghafil nahin
jo na siske wo tera kushta hai kab
jo na taDpe wo tera bismil nahin
hijr mein dam ka nikalna hai muhaal
aap aa niklen to kuchh mushkil nahin
aaiye hasrat-bhare dil mein kabhi
kya ye mahfil aap ki mahfil nahin
hum to zahid marte hain us KHuld par
jo bahishton mein tere shamil nahin
wo to wo taswir bhi us ki 'jalal'
kahti hai tum baat ke qabil nahin
(941) Peoples Rate This