Ye Kaun Jalwa-fagan Hai Meri Nigahon Mein
ye kaun jalwa-fagan hai meri nigahon mein
qadam qadam pe barasta hai nur rahon mein
bharosa had se siwa tha mujhe kabhi jis par
mere KHilaf hai shamil wahi gawahon mein
supurdagi ka ye aalam bhi kya qayamat hai
simaT ke yun tera aa jaana meri bahon mein
teri panah mein rah kar bhi jo nahin mahfuz
mera shumar hai aise hi be-panahon mein
kab aasman ka phahTta hai dil ye dekhna hai
badal rahi hain meri siskiyan karahon mein
main kaise pesh karun dawa parsai ka
main ek umr mulawwis raha gunahon mein
bana hai jab se wo 'nayab' ham-safar mera
bichhe hue hain masarrat ke phul rahon mein
(1817) Peoples Rate This