Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ee87e19cd7a12a3afe4718274179bf22, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Bala Se Zamana KHilaf Ho Jae - Jahangeer Nayab Poetry In English - Darsaal

Meri Bala Se Zamana KHilaf Ho Jae

meri bala se zamana KHilaf ho jae

main chahta hun tera zehn saf ho jae

ye abr-para nahin dost ashk-e-girya hai

ye pattharon pe gire to shigaf ho jae

agar hai shauq baDon se mukalme ka tujhe

durust pahle tera shin qaf ho jae

rahe KHayal ki aae na ehtiram mein farq

agar kisi se tera iKHtilaf ho jae

charagh hum ne mohabbat ke kar diye raushan

hawa ka KHauf kise hai KHilaf ho jae

ab is tarah jo mujhe rad karoge mumkin hai

tumhaari zid mein mera e'tiraf ho jae

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Bala Se Zamana KHilaf Ho Jae In English By Famous Poet Jahangeer Nayab. Meri Bala Se Zamana KHilaf Ho Jae is written by Jahangeer Nayab. Read famous Poem Meri Bala Se Zamana KHilaf Ho Jae for youth and Student by Jahangeer Nayab. Free Download Meri Bala Se Zamana KHilaf Ho Jae in PDF.