Maine Koshish Ki Bahut Lekin Kahan Yakja Hua
main ne koshish ki bahut lekin kahan yakja hua
safha-e-hasti ka shiraaza raha bikhra hua
zehn ki khiDki khuli dil ka daricha wa hua
tab jahan ke dard se rishta mera gahra hua
kya patta kab kaun us ki zad pe aa jae kahan
waqt ki raftar se har shaKHs hai sahma hua
kis ki yaad aai moattar ho rahe hain zehn-o-dil
kis ki KHushbu se hai sara pairahan mahka hua
peD ke niche shikari jal phailae hue
aur parinda shaKH par baiTha Dara sahma hua
do-qadam bhi ab tumhaare sath chalna tha muhaal
rah tum ne KHud alag kar li chalo achchha hua
zindagi har zawiye se dekhta hun main tujhe
hai meri fikr-o-nazar ka daera phaila hua
chhap gai pani mein apni chhab dikha kar jal-pari
aaj phir 'nayab' mere sath ek dhoka hua
(778) Peoples Rate This