Main Jab Bhi Koi Manzar Dekhta Hun
main jab bhi koi manzar dekhta hun
zara auron se haT kar dekhta hun
kabhi main dekhta hun us ki rahmat
kabhi main apni chadar dekhta hun
nazar ka zawiya badla hai jab se
main kuze mein samundar dekhta hun
kabhi mere liye the phul jin mein
ab un hathon mein patthar dekhta hun
sabhi hain mubtala-e-KHud-farebi
ajab duniya ka manzar dekhta hun
nahin badlaw ke aasar kuchh bhi
abhi haalat abtar dekhta hun
muqaddar mein likhi viraniyon mein
zara sa rang bhar kar dekhta hun
nazar aata hai madfan KHwahishon ka
kabhi jab apne andar dekhta hun
suna hai aag hai us ka sarapa
chalo bahon mein bhar kar dekhta hun
basirat mujh mein hai 'nayab' aisi
main har qatre mein gauhar dekhta hun
(911) Peoples Rate This