Junun Shauq Yaqin Zabte Se Aai Hai
junun shauq yaqin zabte se aai hai
uDan mujh mein mere hausle se aai hai
mujhe bhi to kabhi bainassutur mein rakhta
phir aaj ek sada hashiye se aai hai
bhulana jab kabhi chaha hai main ne mazi ko
nikal ke yaad teri hafize se aai hai
jise KHayal ka markaz kabhi banaya tha
sunahri dhup usi daere se aai hai
yaqin kar lo to aaenge sab nazar apne
tumhaare dil mein kaji wahime se aai hai
kiya hai main ne KHud apna muhasba aksar
tamiz mujh mein isi tajarbe se aai hai
jo main ne soch ka badla hai zawiya 'nayab'
har ek chiz nazar qaede se aai hai
(831) Peoples Rate This