Harf Se Tasir Lafzon Se Mani Le Gaya
harf se tasir lafzon se mani le gaya
jate jate wo meri jadu-bayani le gaya
us se thin mansub jo yaaden suhani le gaya
chhin kar mujh se sabhi apni nishani le gaya
shah-rah-e-zist par mujh ko akela chhoD kar
jaane wala mujh se lutf-e-zindagani le gaya
mez par nanha sa ek kaghaz ka TukDa chhoD kar
zindagi ki har KHushi wo na-gahani le gaya
hum udhar masruf the aur waqt ka sail-e-rawan
kya pata kab chhin kar hum se jawani le gaya
muddaton se sakit-o-jamid hai ye nayab dil
kaun is dariya ki maujon ki rawani le gaya
(864) Peoples Rate This