Shukr Ki Ja Hai Ki Pasti Mein Yahin Tak Pahunche
shukr ki ja hai ki pasti mein yahin tak pahunche
aasman se jo gire hum to zamin tak pahunche
hai ye taqdir ki KHubi ki nigah-e-mushtaq
parda ban jae agar parda-nashin tak pahunche
jam o mina ki qasam hasti-e-sahba ki qasam
baada-kash ek hi laghzish mein yaqin tak pahunche
aisi taqdir kahan hai ki nasim-e-ku-e-dost
bhul kar rah kisi KHak-nashin tak pahunche
kar chuka ru-e-zamin ka jo bashar kaam tamam
ye tamanna hai ki ab charKH-e-barin tak pahunche
(694) Peoples Rate This