Fart-e-alam Se Aah Kiye Ja Raha Hun Main

fart-e-alam se aah kiye ja raha hun main

ai ishq kya gunah kiye ja raha hun main

maqbul honge dahr mein dagh-e-jigar mere

un ko charagh-e-rah kiye ja raha hun main

ranj o alam ka lutf uThane ke waste

rahat se bhi nibah kiye ja raha hun main

gulzar-e-kaam-rani o duniya-e-arzu

aamal se tabah kiye ja raha hun main

mujh ko ata hua tha dil-e-aina-jamal

sad haif use siyah kiye ja raha hun main

gham kah raha hai kaun hai mujhe se siwa aziz

sab ke dilon mein rah kiye ja raha hun main

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fart-e-alam Se Aah Kiye Ja Raha Hun Main In English By Famous Poet Jagdish Sahay Saxena. Fart-e-alam Se Aah Kiye Ja Raha Hun Main is written by Jagdish Sahay Saxena. Read famous Poem Fart-e-alam Se Aah Kiye Ja Raha Hun Main for youth and Student by Jagdish Sahay Saxena. Free Download Fart-e-alam Se Aah Kiye Ja Raha Hun Main in PDF.