Azal Se Baada-e-hasti Ki Arzani Nahin Jati
azal se baada-e-hasti ki arzani nahin jati
is arzani pe bhi us ki farawani nahin jati
hujum-e-ranj-o-gham ne is qadar mujh ko rulaya hai
ki ab rahat ki surat mujh se pahchani nahin jati
hui thi ek KHata sarzad so us ko muddaten guzrin
magar ab tak mere dil se pashemani nahin jati
chaman-zar-e-tamanna ka faqat ek phul murjhaya
usi din se mere gulshan ki virani nahin jati
mere ashkon se kya nisbat tumhein ai anjum-e-gardun
ki un ki roz-e-raushan mein bhi tabani nahin jati
meri wahshat mein shayad aa chale andaz-e-ranai
ki zulfon ki tarah dil ki pareshani nahin jati
(686) Peoples Rate This