Maine Jab Tab Jidhar Jidhar Dekha
main ne jab tab jidhar jidhar dekha
apni surat ka hi bashar dekha
ret mein dafn the makan jahan
un pe miTTi ka bhi asar dekha
jab sukunat thi meri barzaKH mein
nek ruhon ka ek nagar dekha
jo barahna mudam rahta tha
main ne malbus wo shajar dekha
apne maslak pe gamzan tha jab
raushni ko bhi ham-safar dekha
mujh pe tha har wajud ka saya
dhup ko jab barahna-sar dekha
mujh ko ehsas bartari ka hua
rifaton ko jab ek nazar dekha
jis ki tauhin ki sitaron ne
main ne aisa bhi ek qamar dekha
us ke ruKH par mera hi partaw tha
main ne jis ko bhi ek nazar dekha
us ki rudad bum se puchho
jo bhi kuchh us ne raat-bhar dekha
meri chiDiyon se thi rifaqat kya
saf suthra jo apna ghar dekha
dekhna tha ki dew sa bhi hun
chaDh ke kandhon pe apna sar dekha
aatma se jo rabta tha mera
zat apni mein ishwar dekha
bahr-o-bar se wo muKHtalif tha 'figar'
main ne manzar jo auj par dekha
(917) Peoples Rate This