KHandani Qaul Ka To Pas Rakh
KHandani qaul ka to pas rakh
ram hai to samne ban-bas rakh
aas ke gauhar bhi kuchh mil jaenge
yas ke kuchh pattharon ko pas rakh
tu imarat ke mahal ka KHwab chhoD
KHwab mein bas jhonpaDi ka bas rakh
mahz teri zat tak mahdud kyun
mausamon ke kaif ka bhi pas rakh
dahr mein mazi bhi tha tera na bhul
aane wale kal mein bhi wishwas rakh
tujh ko apne gham ka to ehsas ho
apne pahlu mein dil-e-hassas rakh
daulat-e-iflas tujh ko mil gai
daulat-e-kaunain ki ab aas rakh
mubtadi ko lauh se hai wasta
tu to hai ahl-e-qalam qirtas rakh
bostan sab ko lage tera wajud
apne tan mein is liye bu-bas rakh
ye zaman hai tez-rau ghoDa nahin
hath mein apne na us ki ras rakh
sahib-e-maqdur hai mana 'figar'
ye tujhe kis ne kaha tha das rakh
(589) Peoples Rate This