Shahrahen Nahin Dagar To Hai
shahrahen nahin Dagar to hai
manzilen na sahi safar to hai
dur sahra mein ek chhoTa sa
be-samar hi sahi shajar to hai
muKHtasar go hai dastan meri
us ke anjam mein asar to hai
zulmat-e-shab giran hai ye mana
raat ke baad phir sahar to hai
hain dariche udas dar viran
kuchh nahin phir bhi apna ghar to hai
mere alfaz mein kashish na sahi
meri aawaz mein asar to hai
(554) Peoples Rate This