Meri Zindagi Hai Sarab Si Kabhi Maujzan Kabhi Tishna-dam
meri zindagi hai sarab si kabhi maujzan kabhi tishna-dam
kabhi intizar ki dhup si kabhi qurbaton ka koi bharam
teri chahaton ka ye silsila kisi dhup chhanw ke khel sa
kabhi pus magh ki dhup sa kabhi naghma-KHwan kabhi chashm-e-nam
mujhe chhu ke waqt guzar gaya zara ruk ke umr nikal gai
jo raha to pas yahi raha kabhi apna dukh kabhi sab ka gham
kabhi raston ke ghubar mein kabhi manzilon ke KHumar mein
kabhi justuju-e-bahaar mein rahe hadson se bandhe qadam
tera nam sun ke chali pawan tera zikr sun ke khila chaman
ki meri sawaneh-e-zist par tera nam likh ke ruka qalam
ye zara zara si shikayaten kahin ban na jaen hikayaten
yahi puchhte ki hua hai kya kabhi hum se tum kabhi tum se hum
kabhi qurbaton ka sukun mila kabhi furqaton ka junun mila
kabhi kho gae sabhi raste kabhi manzilon se mile qadam
(595) Peoples Rate This