Yunhi Gar Har Sans Mein ThoDi Kami Ho Jaegi
yunhi gar har sans mein thoDi kami ho jaegi
KHatm rafta rafta ek din zindagi ho jaegi
dekhne wale faqat taswir-e-zahir par na ja
har nafas ke sath duniya dusri ho jaegi
gar yahi fasl-e-junun-za hai yahi abr-e-bahaar
azmat-e-tauba nisar-e-mai-kashi ho jaegi
marg-e-be-hangam kahte hain jise aaj ahl-e-dard
kal yahi surat badal kar zindagi ho jaegi
zikr hai zindan mein wo gulzar par bijli giri
aaj mere aashiyan mein raushni ho jaegi
sajda gah-e-am par sajde se kuchh hasil nahin
muft aaluda jabin-e-bandagi ho jaegi
KHatm hai shab chehra-e-mashriq se uThti hai naqab
dam-zadan mein raushni hi raushni ho jaegi
muttasil hain zof o quwwat ki haden han hoshyar
warna is tark-e-KHudi mein KHud-kushi ho jaegi
zaKHm bhi taza hai aur dil bhi nahin manus-e-dard
rafta rafta yunhi aadat sabr ki ho jaegi
shama sa jab sham hi se hai gudaz-e-dil 'rawan'
subh tak kya jaane kya haalat teri ho jaegi
(880) Peoples Rate This