Taqdir Jab Muawin-e-tadbir Ho Gai
taqdir jab muawin-e-tadbir ho gai
miTTi pe ki nigah to iksir ho gai
dil jaan nisar-e-mai hai zaban taib-e-sharab
is kashmakash mein ruh ki tazir ho gai
chhinTen jo KHun ki daman-e-qatil mein rah gain
mahshar mein mere qalb ki tafsir ho gai
ya qatl kijiye mujhe ya baKHsh dijiye
ab ho gai huzur jo taqsir ho gai
shabnam oDhi gulon se mera naqsha khinch gaya
murjha gai kali meri taswir ho gai
zindaniyan-e-kakul-e-hasti kidhar ko jaen
ek zulf sab ke panw ki zanjir ho gai
main kah chala tha dawar-e-mahshar se haal-e-dil
ek surmagin nigah gulu-gir ho gai
bas tham gaya safir-e-amal kah ke ya nasib
jis ja pe KHatm manzil-e-tadbir ho gai
toDa hai dam abhi abhi bimar-e-hijr ne
aae magar huzur ko taKHir ho gai
jab apne aap par hamein qabu mila 'rawan'
aasan raaz-e-dahr ki tafsir ho gai
(972) Peoples Rate This