Nikal Jae Yunhi Furqat Mein Dam Kya
nikal jae yunhi furqat mein dam kya
na hoga aap ka mujh par karam kya
hanse bhi roe bhi lekin na samjhe
KHushi kya chiz hai duniya mein gham kya
mubarak zalimon ko zulm hum par
jo apna hi kiya hai us ka gham kya
miTa jab imtiyaz-e-kufr o iman
makan-e-kaba kya baitus-sanam kya
nahin jab quwwat-e-ehsas dil mein
gham-e-duniya surur-e-jam-e-jam kya
guzar hi jaenge ghurbat ke din bhi
karen do din ko ab aKHlaq kam kya
meri bigDi hui taqdir bhi hai
tumhaare turra-e-gesu ka KHam kya
meri taqdir mein likkha hai tu ne
bata ai malik-e-lauh o qalam kya
bhula degi hamein do din mein duniya
hamari shairi kya aur hum kya
har ek mushkil ko hal karti hai jab maut
karun aage kisi ke sar ko KHam kya
'rawan' ke dard ka aalam na puchho
koi yun hoga mast-e-jam-e-jam kya
(736) Peoples Rate This