Shakespeare
is tarah aaj phir aabaad hai virana-e-dil
ki hai labrez mai-e-shauq se paimana-e-dil
dil-e-betab mein pinhan hai har arman-e-nazar
chashm-e-mushtaq mein hai surKHi-e-afsana-e-dil
aaj shamon se ye kah do ki KHabar-dar rahen
aaj bedar hai KHakistar-e-parwana-e-dil
is ko hai ek faqat dekhne wala darkar
tur se kam to nahin jalwa-e-jaanana-e-dil
jag bhi KHwab se ai mashriq o maghrib ke hakim
ki tere waste laya hun main nazrana-e-dil
ye zara dekh ki aae hain kahan se donon
dil teri KHak ka diwana main diwana-e-dil
shauq ki rah mein ek saKHt maqam aaya hai
mera TuTa hua dil hi mere kaam aaya hai
saqi-e-jaan tere mai-KHane ka ek rind-e-haqir
misl-e-bu toD ke har qaid-e-maqam aaya hai
allah allah teri bazm ka ye aalam-e-kaif
mere hathon mein chhalakta hua jam aaya hai
tere nam aaj zamane ke mahakte hue phul
'ghaalib' o 'mir' ke gulshan ka salam aaya hai
wo meri hasrat-e-derina ka shahbaz-e-jalil
kitni muddat mein bil-aKHir tah-e-dam aaya hai
tujh ko bhi dil mein basaya hai jo 'iqbaal' ke sath
to kahin ja ke ye andaz-e-kalam aaya hai
kyun tujhe ye abadi nind pasand aai hai
ai ki har lafz tera shan-e-masihai hai
saqi-e-mai-kada-e-zist zara aankh to khol
teri turbat pe siyah mast ghaTa chhai hai
jag bhi KHwab se dil-dada-e-gulzar-o-chaman
ki tere des ki baghon pe bahaar aai hai
jo tere ghar mein hai aaj us chamanistan ko to dekh
zarre zarre ko junun-e-chaman-arai hai
'hathaway' ka hai makan wo ki maqam-e-nau hai
jo bhi KHitta hai wo ek paikar-e-zebai hai
kuchh KHabar bhi hai ki aiwan ki hasin maujon mein
jo tere daur mein thi ab bhi wo ranai hai
wo tera naghma ki sinon mein tapan aaj bhi hai
ahl-e-ehsas ka sarmaya-e-jaan aaj bhi hai
rind hain mashriq o maghrib mein usi ke mushtaq
wo tera baada-e-kohna ki jawan aaj bhi hai
aaj bhi kaba-e-arbab-e-nazar hai teri fikr
wirsa-e-ahl-e-junun tera bayan aaj bhi hai
aaj se chaar sadi qabl jo chamka tha kabhi
tere naghmat mein wo soz-e-nihan aaj bhi hai
jis mein hai baada junun ka bhi mai-e-hosh ke sath
tere hathon mein wahi ratl-e-giran aaj bhi hai
tu ne tamsil ke jade pe dikhaya jo kabhi
wahi mil aur wahi sang-e-nishan aaj bhi hai
zulmat-e-dahr ki raaton mein sahar-bar hai tu
zist ek qafila hai qafila-salar hai tu
tu har ek daur mein hai dida-e-bina ki tarah
har zamane mein dil-e-zinda-o-bedar hai tu
jis ki baaton mein dhaDakta hai dil-e-asr-e-rawan
aaj tamsil-e-zamana ka wo kirdar hai tu
kyun na ho lauh o qalam ko tere uslub pe naz
hasan-e-guftar hai ganjina-e-afkar hai tu
bazm-e-jaanan ho to andaz tera phul ki shaKH
zulm ke samne shamshir-e-jigar-dar hai to
tu kisi mulk kisi daur ka fankar nahin
balki har mulk ka har daur ka fankar hai tu
(884) Peoples Rate This