Sair-e-kashmir Ka Ek Tassur

'azad'! zara dekh tu ye aalam-e-arzang

mausam ke ye andaz bahaaron ke ye nairang

ye husn, ye tartib, ye tazin ye aahang

daman-e-KHirad chaak hai daman-e-nazar tang

har zarra hai daman mein liye tur ki duniya

har baat mein ek baat hai har rang mein sau rang

ai ruh-e-bashar! tujh se hain donon mutakallim

sabze ki KHamoshi hai ki jharnon ka hai aahang

ab chhoD bhi afsurdagi apni dil-e-nadan

ab phul bhi ho khil ke tu ai ghuncha-e-dil-tang

har shai se huwaida hai jhalak husn-e-azal ki

zarra hai ki tara hai shagufa hai ki hai sang

sab aks tere aks hain ai surat-e-pinhan

sab rang tere rang hain ai hasti-e-be-rang

ai dekhne walo! ye zara baat to dekho

patte hain shafaq-rang to patthar hain saman-rang

sab kuchh ye baja hai magar ai husn-e-gurezan

ai tu ki teri chaal pe qurban jaman o gang

is rah mein gar sath tera ho na mayassar

liddar faqat aawaz hai gul-marg faqat rang

(781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sair-e-kashmir Ka Ek Tassur In English By Famous Poet Jagan Nath Azad. Sair-e-kashmir Ka Ek Tassur is written by Jagan Nath Azad. Read famous Poem Sair-e-kashmir Ka Ek Tassur for youth and Student by Jagan Nath Azad. Free Download Sair-e-kashmir Ka Ek Tassur in PDF.