Napoleon Ke Mazar Par

kitni raushan kyun na ho 'azad' aaKHir ek din

sham-e-hasti maut ke jhonkon se gul ho jaegi

jaise gahware mein so jata hai tifl-e-shir-KHwar

zist aaghosh-e-ajal mein is tarah so jaegi

mah o aKHtar hain KHajil jis se wo chingari zarur

ek na ek din aalam-e-zulmat mein kho jaegi

lekin is zulmat-kade mein ek nur aisa bhi hai

gardish-e-ayyam jis ke pas aa sakti nahin

ek aisa bhi hai lauh-e-waqt par naqsh-e-dawam

koi shai bhi jis ko aalam se miTa sakti nahin

maut jhonke le ke uTThe ya bagule le ke aae

azmat-e-kirdar ka shoala bujha sakti nahin

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Napoleon Ke Mazar Par In English By Famous Poet Jagan Nath Azad. Napoleon Ke Mazar Par is written by Jagan Nath Azad. Read famous Poem Napoleon Ke Mazar Par for youth and Student by Jagan Nath Azad. Free Download Napoleon Ke Mazar Par in PDF.