KHwab Ki Tarah Se Yaad Hai

KHwab ki tarah se hai yaad ki tum aae the

jis tarah daman-e-mashriq mein sahar hoti hai

zarre zarre ko tajalli ki KHabar hoti hai

aur jab nur ka sailab guzar jata hai

raat bhar ek andhere mein basar hoti hai

kuchh isi tarah se hai yaad ki tum aae the

jaise gulshan mein dabe panw bahaar aati hai

patti patti ke liye le ke nikhaar aati hai

aur phir waqt wo aata hai ki har mauj-e-saba

apne daman mein liye gard-o-ghubar aati hai

kuchh isi tarah se hai yaad ki tum aae the

jis tarah mahw-e-safar ho koi virane mein

aur raste mein kahin koi KHayaban aa jae

chand lamhon mein KHayaban ke guzar jaane par

samne phir wahi duniya-e-bayaban aa jae

kuchh isi tarah se hai yaad ki tum aae the

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Ki Tarah Se Yaad Hai In English By Famous Poet Jagan Nath Azad. KHwab Ki Tarah Se Yaad Hai is written by Jagan Nath Azad. Read famous Poem KHwab Ki Tarah Se Yaad Hai for youth and Student by Jagan Nath Azad. Free Download KHwab Ki Tarah Se Yaad Hai in PDF.