Junun-e-wafa
wo KHak boe the haalat ne sharar jis mein
ab us mein phul tamanna ke khilne wale hain
hue the jin ke sabab chaak chaak sina-e-dil
wo chaak ab unhin hathon se silne wale hain
jo dost uljhe the aapas mein dushmanon ki tarah
phir ek bar wo aapas mein milne wale hain
dayar-e-rus hamara salam-e-jaan ho qubul
ki rah-e-shauq ko aasan bana diya tu ne
ye daur aaj ka to mojazon ka daur nahin
magar wo moajaza hum ko dikha diya tu ne
ki jis se dur o qarib ek nur phail gaya
charagh-e-kushta ko aise jala diya tu ne
ye tashqand se paigham-e-dil-nawaz aaya
ki ibtila ka zamana guzar gaya yaro!
bahut raha jise dawa-e-sahil-e-ashubi
suna ye hai ki wo dariya utar gaya yaro!
kuchh is tarah se kisi ne diya lahu apna
ki arz-e-sharq ka chehra nikhar gaya yaro!
wo KHak jis pe mere rahnuma ne jaan di hai
mera salam usi dil-nawaz KHak ke nam
nawa-e-KHama ho mansub aaj se pyaro
shahid-e-amn ki rudad-e-tabnak ke nam
mere junun-e-wafa ka yahi payam hai aaj
suKHnawaran-o-adiban-e-hind-o-pak ke nam
(801) Peoples Rate This