Tera KHayal Hai Dil-e-hairan Liye Hue
tera KHayal hai dil-e-hairan liye hue
ya zarra aaftab ka saman liye hue
dekha unhen jo dida-e-hairan liye hue
dil rah gaya jarahat-e-pinhan liye hue
main phir hun iltifat-e-gurezan ka muntazir
ek yaad-e-iltifat-e-gurezan liye hue
main chheDne laga hun phir apni nai ghazal
aa jao phir tabassum-e-pinhan liye hue
kya bebasi hai ye ki tere gham ke sath sath
main apne dil mein hun gham-e-dauran liye hue
furqat teri to ek bahana thi warna dost
dil yun bhi hai mera gham-e-pinhan liye hue
ab qalb-e-muztarib mein nahin tab-e-dard-e-hijr
ab aa bhi jao dard ka darman liye hue
sirf ek shrt-e-dida-e-bina hai ai kalim
zarre bhi hain tajlli-e-pinhan liye hue
main ne ghazal kahi hai jigar ki zamin mein
dil hai mera nadamat-e-pinhan liye hue
aazad zauq-e-did na ho KHam to yahan
har aaina hai jalwa-e-jaanan liye hue
(882) Peoples Rate This