Phir LauT Kar Gae Na Kabhi Dasht-o-dar Se Hum
phir lauT kar gae na kabhi dasht-o-dar se hum
nikle bas ek bar kuchh is tarah ghar se hum
kuchh dur tak chale hi gae be-KHabar se hum
ai be-KHudi-e-shauq ye guzre kidhar se hum
aazad be-niyaz the apni KHabar se hum
palTe kuchh is tarah se deccan ke safar se hum
qalb-o-nazar ka daur bas itna hi yaad hai
wo ek qadam udhar se baDhe the idhar se hum
ai kash ye sada bhi kabhi kan mein paDe
uTTho ki lauT aae hain apne safar se hum
dil ka chaman hai kaif-e-bahaaran liye hue
guzre the ek bar teri rah-guzar se hum
aata hai ek sitara nazar chand ke qarib
jab dekhte hain KHud ko tumhaari nazar se hum
is se zyaada daur-e-junun ki KHabar nahin
kuchh be-KHabar se aap the kuchh be-KHabar se hum
jitni bhi rah gai thi kami dil ke dard mein
utna hi luT gae hain mataa-e-nazar se hum
roz-e-azal se apni jabin mein taDap rahi
wabasta yun rahe hain tere sang-e-dar se hum
(747) Peoples Rate This