Nashe Mein Hun Magar Aaluda-e-sharab Nahin
nashe mein hun magar aaluda-e-sharab nahin
KHarab hun magar itna bhi main KHarab nahin
kahin bhi husn ka chehra tah-e-naqab nahin
ye apna dida-e-dil hai ki be-hijab nahin
wo ek bashar hai koi nur-e-aftab nahin
main kya karun ki mujhe dekhne ki tab nahin
ye jis ne meri nigahon mein ungliyan bhar din
to phir ye kya hai agar ye tera shabab nahin
mere surur se andaza-e-sharab na kar
mera surur ba-andaza-e-sharab nahin
(751) Peoples Rate This