Mumkin Nahin Ki Bazm-e-tarab Phir Saja Sakun

mumkin nahin ki bazm-e-tarab phir saja sakun

ab ye bhi hai bahut ki tumhein yaad aa sakun

ye kya tilism hai ki teri jalwa-gah se

nazdik aa sakun na kahin dur ja sakun

zauq-e-nigah aur bahaaron ke darmiyan

parde gire hain wo ki na jin ko uTha sakun

kis tarah kar sakoge bahaaron ko mutmain

ahl-e-chaman jo main bhi chaman mein na aa sakun

teri hasin faza mein mere ai nae watan

aisa bhi hai koi jise apna bana sakun

'azad' saz-e-dil pe hain raqsan wo zamzame

KHud sun sakun magar na kisi ko suna sakun

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mumkin Nahin Ki Bazm-e-tarab Phir Saja Sakun In English By Famous Poet Jagan Nath Azad. Mumkin Nahin Ki Bazm-e-tarab Phir Saja Sakun is written by Jagan Nath Azad. Read famous Poem Mumkin Nahin Ki Bazm-e-tarab Phir Saja Sakun for youth and Student by Jagan Nath Azad. Free Download Mumkin Nahin Ki Bazm-e-tarab Phir Saja Sakun in PDF.