Koi Izhaar-e-gham-e-dil Ka Bahana Bhi Nahin
koi izhaar-e-gham-e-dil ka bahana bhi nahin
ho bahana bhi jo koi to zamana bhi nahin
zindagi tujh ko jo samjha hun to itna hi faqat
tu haqiqat bhi nahin aur fasana bhi nahin
KHamushi fikr ka mamba bhi hai aur baat ye hai
saf-goi ka azizo ye zamana bhi nahin
ek KHazana tha mera 'josh'-malih-abaadi
ab to 'azad' wo hathon mein KHazana bhi nahin
aaj ke daur mein 'azad' ghanimat hai bahut
tum use yaad na rakhna to bhulana bhi nahin
(765) Peoples Rate This