Jab Apne Naghme Na Apni Zaban Tak Aae
jab apne naghme na apni zaban tak aae
tere huzur hum aa kar bahut hi pachhtae
KHayal ban na saka naghma garche hum ne use
hazar tarah ke malbus-e-lafz pahnae
ye husn-o-rang ka tufan hai maaz-allah
nigah jam na sake aur thak ke rah gae
jo dard uThe bhi to izhaar us ka ho kyunkar
huzur-e-husn agar aawaz baiTh hi jae
haTe nazar se na furqat ki dhup mein 'azad'
kisi ki sumbul-e-shab rang ke ghane sae
(628) Peoples Rate This