Ek Nazar Hi Dekha Tha Shauq Ne Shabab Un Ka

ek nazar hi dekha tha shauq ne shabab un ka

din ko yaad hai un ki raat ko hai KHwab un ka

gir gae nigahon se phul bhi sitare bhi

main ne jab se dekha hai aalam-e-shabab un ka

nasehon ne shayad ye baat hi nahin sochi

ek taraf hai dil mera ek taraf shabab un ka

ai dil un ke chehre tak kis tarah nazar jati

nur un ke chehre ka ban gaya hijab un ka

ab kahun to main kis se mere dil pe kya guzri

dekh kar un aankhon mein dard-e-iztirab un ka

hashr ke muqabil mein hashr hi saf-ara hai

is taraf junun mera us taraf shabab un ka

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nazar Hi Dekha Tha Shauq Ne Shabab Un Ka In English By Famous Poet Jagan Nath Azad. Ek Nazar Hi Dekha Tha Shauq Ne Shabab Un Ka is written by Jagan Nath Azad. Read famous Poem Ek Nazar Hi Dekha Tha Shauq Ne Shabab Un Ka for youth and Student by Jagan Nath Azad. Free Download Ek Nazar Hi Dekha Tha Shauq Ne Shabab Un Ka in PDF.