Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b432a551f9e59fb591d93ea61ede5ddd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Main Hun Aap Ek Tamasha Bana Hua - Jagan Nath Azad Poetry In English - Darsaal

Ab Main Hun Aap Ek Tamasha Bana Hua

ab main hun aap ek tamasha bana hua

guzra ye kaun meri taraf dekhta hua

kaif-e-gham-e-firaq ki lazzat jise mili

hasil use visal nahin hai to kya hua

KHashak-e-zindagi to mila us ke sath sath

tera karam ki dard ka shoala ata hua

dar tak tere KHudi ne na aane diya jise

aankhon se ashk ban ke wo sajda ada hua

shirini-e-hayat ki lazzat mein hai kami

kuchh is mein zahr-e-gham na agar ho mila hua

kuchh kam nahin hon lazzat-e-furqat se faiz-yab

hasil agar visal nahin hai to kya hua

ab is maqam par hai meri zindagi ki hai

har dost ek naseh-e-mushfiq bana hua

ye bhi zara KHayal rahe aazim-e-haram

raste mein but-kade ka bhi dar hai khula hua

wo qadd-e-naz aur wo chehre ka husn o rang

jaise ho phul shaKH pe koi khila hua

pesh-e-nazar thi manzil-e-jaanan ki justuju

aur phir raha hun apna pata DhunDta hua

kah kar tamam raat ghazal subh ke qarib

'azad' misl-e-sham-e-sahar hun bujha hua

(904) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Main Hun Aap Ek Tamasha Bana Hua In English By Famous Poet Jagan Nath Azad. Ab Main Hun Aap Ek Tamasha Bana Hua is written by Jagan Nath Azad. Read famous Poem Ab Main Hun Aap Ek Tamasha Bana Hua for youth and Student by Jagan Nath Azad. Free Download Ab Main Hun Aap Ek Tamasha Bana Hua in PDF.