Ye To Nahin Ki Hum Pe Sitam Hi Kabhi Na The
ye to nahin ki hum pe sitam hi kabhi na the
itna zarur tha ki wo naguftani na the
ai chashm-e-iltifat ye kya ho gaya tujhe
teri nazar mein hum to kabhi ajnabi na the
phirte hain aaftab-zada kaenat mein
hum par kisi ki zulf ke ehsan kabhi na the
pamal kar diya jo falak ne to kya kahen
hum to kisi kamal ke bhi muddai na the
kya jurm tha ye aaj bhi hum par nahin khula
ye ilm hai ki ahl-e-junun kushtani na the
har lamha tere ishq mein umr-e-abad bana
jo din bhi zindagi ke mile aarzi na the
murjha ke bhi gai na mahak jism-e-naz ki
ye motiye ke phul koi kaghzi na the
yaran-e-shahr ishq mein be-abru hue
hum par to mehrban wo kabhi the kabhi na the
iqlim-e-ashiqi ko diya din-e-shairi
hum sahib-e-kitab the garche nabi na the
hum jin ki nazr karte jawahar kalam ke
'tahir' hamare shahar mein wo jauhari na the
(1140) Peoples Rate This