Tishna-labon Ki Nazr Ko Saughat Chahiye
tishna-labon ki nazr ko saughat chahiye
tere nisar thoDi si barsat chahiye
itna bhi mai-kade pe na pahre biThaiye
kuchh to KHayal-e-ahl-e-KHarabaat chahiye
aapas ki guftugu mein bhi kaTne lagi zaban
ab doston se tark-e-mulaqat chahiye
muddat se chashm-o-dil mein koi rabta nahin
kya aur tujh ko gardish-e-haalat chahiye
kis kis KHuda ke samne sajda nahin kiya
kuchh sharm kuchh to aabru-e-zat chahiye
zikr-e-pari-washan ke zamane guzar gae
ab to ghazal mein hamd-o-munajat chahiye
insaf ki ye aankh ye suraj ki raushni
yarab yahi hai din to mujhe raat chahiye
hum chahte hain dahr mein jine ka haq mile
un ko subut-e-farruKHi-e-zat chahiye
kuchh bhi ho maslahat ka taqaza magar nadim
jo dil mein ho zaban pe wahi baat chahiye
ai zulf-e-naz koi hawa-e-fusun ka dam
ahl-e-nazar ko sair-e-tilismat chahiye
tab-e-kamand-e-kakul-e-KHam-dar hoshiyar
khul kar na har kisi pe inayat chahiye
'tahir' jaza-e-himmat-e-ali hai zulf-e-yar
zulfon se khelne ke liye hat chahiye
(936) Peoples Rate This