Phir Wahi Qatl-e-mohabbat-zadagan Hai Ki Jo Tha
phir wahi qatl-e-mohabbat-zadagan hai ki jo tha
rasan-o-dar ka aalam mein saman hai ki jo tha
un ke hathon mein wahi tegh-e-sitam hai ki jo thi
dahr matam-kada-e-be-gunahan hai ki jo tha
chashm-e-pur-KHun-e-wafa lala-nishan hai ki jo thi
qismat-e-bul-hawasan aish-e-jahan hai ki jo tha
hairat-e-ahl-e-nazar ahl-e-hunar hai ki jo thi
shohra-e-kam-nazran be-hunran hai ki jo tha
rasm-e-araish-e-aiwan-e-tarab hai ki jo thi
sar-e-farhad ye wo koh-e-giran hai ki jo tha
ye shajar hain ki saliben si gaDi hain har su
manzil-e-ishq wahi sang-e-nishan hai ki jo tha
daftar-e-lala-o-gul hai na wo diwan-e-bahaar
zinat-e-lauh-e-chaman harf-e-KHizan hai ki jo tha
zer-e-har-shaKH shab-o-roz qafas Dhalte hain
aalam-e-nauha-garan basta-paran hai ki jo tha
daulat-e-ahl-e-talab KHar-e-sitam hain ki jo the
chaar su ghalghala-e-gul-badanan hai ki jo tha
saya-e-murgh-e-parida hai ki ye abr-e-bahaar
gila-e-marhamat-e-ah-e-tapan hai ki jo tha
hai wahi aaj bhi rang-o-rawish-e-rud-e-faraat
har nafas matami-e-tishna-laban hai ki jo tha
aaj bhi arz-e-wafa un pe giran hai ki jo thi
aaj bhi hausla-e-sharh-o-bayan hai ki jo tha
na wafaon pe nazar hai na jafaon ka malal
dil mein wo dard wo ehsas kahan hai ki jo tha
saulat-o-satwat-e-arbab-e-hamam miT ke rahi
luT ke bhi husn-e-butan husn-e-butan hai ki jo tha
hai teri yaad nashat-e-shab-e-hijran ki jo thi
han tera dard qarar-e-dil-o-jaan hai ki jo tha
jalwa-e-yar se mahrum hai gham-KHana-e-dil
ye wahi tira-o-tarik makan hai ki jo tha
waqt ke sath badalta nahin jafar-'tahir'
ye wahi soKHta-dil soKHta-jaan hai ki jo tha
(811) Peoples Rate This