Har Shai Jahan Ki Gard-o-ghubar-e-KHayal Hai
har shai jahan ki gard-o-ghubar-e-KHayal hai
aashob-gah-e-dahr mein jina muhaal hai
ye gulshan-e-yaqin bhi ba-juz wahm kuchh nahin
aalam jise kahen wo tilism-e-KHayal hai
nairagi-e-nazar ke siwa aur kuchh nahin
dud-e-firaq jalwa-e-sham-e-visal hai
ye naghma-e-wajud kisi ragni ki rakh
ek chiKH saz-e-umr-e-abad ka maal hai
har mauj hai ki hath se chhuTti hui inan
wo jast-o-KHez hai ki sambhalna muhaal hai
tapte dinon ki aag mein jine ki aarzu
shabnam ba-ru-e-gul araq-e-infial hai
tanhaiyon mein baiTh ke KHud ko shikar kar
ye dasht-e-dil bhi dasht-e-KHutan ki misal hai
(865) Peoples Rate This