Raston Mein Dher Ho Kar Phul Se Paikar Gire
raston mein Dher ho kar phul se paikar gire
barg kitne aandhiyon ke panw mein aa kar gire
ai junun ki saato aamad bahaaron ki hui
dekhna wo shaKHchon se titliyon ke par gire
tum na sun pae sada dil TuTne ki aur yahan
shor wo uTTha zamin par jis tarah ambar gire
kaun jaane kitni yaadon se hua dil zaKHm zaKHm
chandni barsi ki meri ruh par KHanjar gire
muntazir hun gham ke is tufan-e-abr-o-baad mein
kab ghaTa ka shor kam ho kab hawa thak kar gire
yun hua hun jazb 'jafar' waqt ke tufan mein
tah main gahre paniyon ki jis tarah kankar gire
(661) Peoples Rate This