Kahin Faza Mein Koi Abr Tairna To Chahiye
kahin faza mein koi abr tairna to chahiye
kahan hawaen kho gai hain sochna to chahiye
ye aur baat bagh bagh kar gain tabiaten
zara qarib se hansi ko dekhna to chahiye
ye maslahat bhi kya ki dil ki wusaten hon munjamid
ragon mein zindagi ka KHun dauDna to chahiye
main in udasiyon ko in rafaqaton ko kya karun
kiran ko jagna hawa ko bolna to chahiye
unhen bhi nok-e-sang se zara hila ke dekh lun
ki paniyon ka ye sukut toDna to chahiye
ye kya hua baDha ke silsile mujhe bhula diya
kahin mile to 'jafar' us se puchhna to chahiye
(793) Peoples Rate This