Husn Aankhon Mein Rahe Dil Mein Jawani To Rahe
husn aankhon mein rahe dil mein jawani to rahe
zindagani tere hone ki nishani to rahe
us ki KHatir to gawara koi ban-bas bhi hai
sab ke honTon pe meri ram-kahani to rahe
zabt mein ye bhi hai goyai ka apna andaz
lab hon KHamosh magar ashk-fishani to rahe
gar ujalon se gurezan hai dhundlakon mein to aa
din ba-har-taur kaTa sham suhani to rahe
tu na shirin na main farhad magar yun to milen
hum rahen ya na rahen apni kahani to rahe
aao kuchh der karen pahle-pahal ki baaten
yaad is pyar ki wo rasm purani to rahe
teri aankhen to banen KHushk jazire 'jafar'
ye jo dariya hain to dariyaon mein pani to rahe
(801) Peoples Rate This