Hawa Ka Shor Sada-e-sahab Mere Liye
hawa ka shor sada-e-sahab mere liye
jahan-e-jabr ka har iztirab mere liye
sulagta jata hun main aur paDhta jata hun
khula paDa hai zamane ka bab mere liye
main muntazir tha jahan par gulab khilne ka
wahin pareshan thi bu-e-gulab mere liye
ye meri umr ki shab ye uDi hui ninden
na koi KHwab na afsun-e-KHwab mere liye
tabah kar diya ahde-jawan ki baaton ne
shabab is ke liye tha sharab mere liye
jahan hai nashsha-e-KHwab-e-sahar mein khoya hua
hai sar pe aaya hua aaftab mere liye
raha hai dhyan mein ek jism chand sa 'jafar'
hui wahan hai shab-e-mahtab mere liye
(822) Peoples Rate This