Din Nikalta Hai To Saman-e-safar DhunDte Hain
din nikalta hai to saman-e-safar DhunDte hain
raat paDti hai to hum apni KHabar DhunDte hain
rabta kuchh to rahe ruh ka patal ke sath
aaj hum bhi teri aankhon mein bhanwar DhunDte hain
koi KHushbu na yahan anjum-o-mahtab ki zau
in gharon se bahut aage hai jo ghar DhunDte hain
ishq se dad-talab hain ki hum aawara-manash
dar mein diwar na diwar mein dar DhunDte hain
kyun judai ke mah-o-sal mein badle tu ne
aa mohabbat ke wahi sham-o-sahar DhunDte hain
wo jo ab sarhad-e-imkan se pare rahta hai
kab wo 'jafar' hamein milta hai magar DhunDte hain
(682) Peoples Rate This