Din Dahakti Dhup Ne Mujhko Jalaya Der Tak
din dahakti dhup ne mujh ko jalaya der tak
raat tanhai mein kala abr barsa der tak
tu ye kahta hai ki tu kal raat mere sath tha
main ye kahta hun ki main ne tujh ko DhunDa der tak
pas rakh kar ujle ujle dudh se yaadon ke jism
der se baiTha hun mein baiTha rahunga der tak
pahle teri chahaton ke gham the ab furqat ke dukh
mujh pe ab tari rahega ye bhi arsa der tak
kaun Thahre aane wale mausamon ke samne
kaun KHali rakh sake taq-e-tamasha der tak
ab wo baaten ab wo qisse kis tarah 'jafar' bhulaen
aise sadmon ka asar dil par rahega der tak
(636) Peoples Rate This